Dukh har insaan ki zindagi me hote hain, lekin har insaan ki zindagi me dukh ka ek alag hi roop hota hai,Agar zindagi me dukh ho hi nahi tab aap kaisa feel karenge?Ye to ham nahi jaante.Lekin ham apni life se dukho ko remove kar sakte hain.Isme koi shak nahi hai,Hamari life me dukh aane ka sirf ek hi reason hai, aur wo hai, hamara dusro se ummide laga kar baith jaana,aur jab wo dusra insaan jis se ham ummid karte hain, hamari ummid k khilaaf karta hai tab hame zahni taur pe dukh hota hi hai,
To phir kyo Rakhte ho ummide.Kyo karte ho dusro par bharosa.Kyo jodte ho apne aap ko kisi dusre ke sath.Kyo dekhte ho aise khwaab jinko pura karna dusro ki madad ke bina mumkin hi nahi hai,Apni zindagi ke raasto ko khud banao aur aage badho.
Hamne apni life me jo bhi kuchh haasil kiya wo sirf Hamara apna hi hai.Hamne koi bhi Kadam agar badhaya hai to pahla Kadam rakhne ke liye jagah banayi hai, tab Kadam rakha hai.
Tab Hame kyo dukh hoga?Ham apne kapdo ko khud dhona pasand karte hain.....dusra agar dhota hai, to kabhi istri sahi nahi hoti thi kabi theek se dhul nahi paate the,Ab jaisa ham chahte hain waisa hi hota hai. Ab hamara dukh khatam ho chuka hai,Ham ek glass paani bhi kisi se maang kar nahi peete.Ham kabhi kisi se nahi kahte ki Hamko khana paros kar do.Hamare bhi to do hanth hain,Ham khud unka use karte hain...isi tarah se ham kisi life se jude hue person se kabi koi ummid nahi karte......aur naa hi zyada logo se milte hain....kyonki ham jaante hain. Wo log hamari baat ko samajh nahi payenge.JO BHI KARNA HAI AAP KHUD HI KIJIYE.KISI PAR YAQEEN MAT KIJIYE. KYONKI INSAAN KA SAB SE ACHCHA DOST WO KHUD HI HO SAKTA HAI,UMMIDE HAME KAMZOR BANATI HAIN,UMMIDE HAME KAAHIL AUR NIKAMMA BANATI HAIN,UMMIDE HI HAME ZINDAGI ME RONE KE LIYE MAJBOOR KARTI HAIN,UMMIDE HI HAMARI ZINDAGI SE SUKOON KO CHHEEN KAR BECHAINIYA BHAR DETI HAI,
zindagi me jo bhi karna hai, wo khud karo.Tum ek misaal ban jaaoge.Tumko jeene ka andaaz aa jaayga.Tumko her qadam per ek roshni milegi.Tumko kabhi koi dukh nahi hoga.Tumko phir sahare talaash karne ki zarurat kaha rahegi.Tumko har wo cheej paa kar sukoon hoga jo tum ne khud apni mehnat aur yaqin se hasil ki hai.Tumko log izzat ki nazro se dekhenge.Tumko iss dunya me koi khareed nahi paayega.Tumko khuda bhi har jaayaz cheez se navazega.ham aaj bhi jaante hain. aur kahte hain."HAM TO DARYA HAI AUR APNA HUNAR BHI HAI MAALUM JIS TARAF CHALENGE RAASTA HO JAAYGA."
Author:- MERAJ SIDDIQUI
sooo true. When my expectations are not fulfilled I get hurt and then resentment builds inside me for the person who I had expectations of. This normally then also gets me depressed.
ReplyDeleteI am sure going to try not to have any expections from anyone. If they do anything for me I will be happy however if they don't at least I won't fall into a circle of hurt, resentment and depression.
Thankyou I needed to read this!
This comment has been removed by the author.
DeleteAppreciated :)
ReplyDeleteThnx
Umeed hamin weak nhi banati , umeed hamarey andar insaani zajbaat jagati hai curosity kuch janane ka kuch samjhne ka, afterall yahi toh life jeena learn karati hai, zindagi ka dusra nasm lamha hai , isliye hamein har pal har lamhe ko mehsoos karna zaroori hai.kyunki after all is body ko hum is dharti pe leke aye hi hai karm karne ko , aur jab tak umeed nhi karenge tab tak kuch new mehsoos nhi kar payenge, toh phir zindagi jiya kya. Apne liye karne ko god ne 2 hath 2 legs diye hue hai jab hum born hotey tabhi se hamein apne aap body mehsoos karti hai kuch na kuch karne ka chahe woh bachpan ki sharatey kyu na ho , apne liye jerna hum born hotey shikh lete hai joki duniya mein sabse assaasn kaam hai, zindagi mein dusro ke liye jeena chaiye umeed har jagah nahi but sahi jagah lagani chaiye , apna accha bura toh insaan thokar kahke samajh jata hai, even thokar khana bhi mehsoos karna chaiye , isliye ae mere dost zindagi ek rainbow ki tarah hai iske har rang ko dekho , jiyo aur mehsoos karke , logo ke dilo mein apna naam karke tab alvida kaho, kyunki aatey is duniya mein hum akele aur jatey bhi akele hi hai , but logo ke dilo mein apna na paida karne ka hoonar bhi confifence se jaga patey , joki yeh truth hai every person jo aata hai is duniya mein confidence leke aata hai aur at thr end apna confidence martey waqt saath le jata hai, chod jata hai sirf yaadein aur logo ke dilo mein apna pyar . aur umeed hi hamein pyar krna shikati hai . joki jeewan jiney ke liye panni ki tarah jaroori hai !!
ReplyDeletemeraj sahab please ek bari bat karliye mujhse apna mujhe facebook p bat kr skte k please me lyf se tang hogya hu..... https://m.facebook.com/deepak.dixit.547?ref_component=mbasic_home_header&ref_page=%2Fwap%2Fhome.php&refid=7 yeh mera fb link h please contact for a convo
ReplyDeleteJi jarur
Deletei thInk you WanT To say distroy Your Wishs who fall in The Life . . .
ReplyDeletei thInk you WanT To say distroy Your Wishs who fall in The Life . . .
ReplyDelete