Wednesday, August 27, 2014

Zindagi kyun hai? Kis liye hai?

hamari zindagi ka maksad kya hai, kisliye hain ham yahan hain,kya kisi ne hame yahan bheja hai kuchh khaas maksad ke liye tamam sawalaat ke jawab dhoondenge?
yeh woh sawal hai jiska jawab talash karne, samajhne aur phir us par amal karne ke liye hame takreeban 60 saal diye jate hain :) , aur is sawal ka jawab "bayan" karne ke liye duniya ka tamaam ilm haasil karna pade to bhi kam pad jayega :)
zindagi ko dusre lafzon me kaha ja sakta hai "apna maqsad hasil karne ke liye STRUGGLE aur apne maqsad se rokne wale ke liye RESISTANCE show karna "
zindgi ki misal "pani" hai..maut ki misal "mitti" hai ...
mitti yaani murda cheez ka koi zaati maqsad nahi hai,
lekin zinda cheeje ise apne maqsad k liye istemal karti hain.
paani ka maqsad duniya ki har cheez ke kaam aana hai,
aur is maqsad ko poora karne ke liye paani safar karta rahta hai, mousam badalne ke liye samandar se hawa main, makhlooq ki zarurat k liye hawa se pahad par, pahad se maidan ki taraf aur maidan se samandari makhlooq k liye khuraak le kar samandar ki taraf, HAMESHA safar karta rahta hai, aur JO KOI IS KA RASTA ROKNE KI KOSHISH KARE US KE KHILAF RESISTANCE SHOW KARTA HAI AUR AKHIR KAAR KHUD APNA RAASTA NIKAL LETA HAI...
isi tarhan zindgi ki dusri misal "janwar" hain, tamam janwar bhi apne maksad k sath "zinda" hain aur apne raste me padne wali rukawat par "resist" karte nazar aate hain lekin "paani" me aur janwar me farq yeh hai k paani sirf "dusron" ki khatir safar karta hai jabki "janwar" sirf apne "zaati" makasad k liye zinda hain aur sirf "khane, peene aur bachaa paida karne ke liye" safar karta hain aur sirf us cheez k aage resist karte hain jo unhe "apna matlab poora karne se roke" , yahan tak k aik bakra dusre bakre ko isliye seeng marta hai ki woh us k pasandeedah paudhe ko kha raha hota hai.
lekin in sab cheezon ke alaawa kaaynaat me ek anokhi makhlooq bhi hai jise "insaan" kaha jata hai.. aur "haqiqi zindgi" sirf insanon ko ata ki gayi hai, aur is haqiqi zindagi ke raaz samjhanae ke liye is kaaynaat ki har cheez sajaayi gayi hai..
insaanon ki "haqiqi zindagi" ka talluk aqal se hai aur aqal ka talluk "ilm" se hai.. lihaaza haqiqat me, zinda insan woh hai jiska safar aur uski struggle "ilm" haasil karne ke liye hai..
insaan k liye sab se bada ilm yeh hai ki woh is baat ki tehqeeq me lage ki use aur uski kaaynaat ko paida kis ne kiya? is sawal ko hal karne ke liye struggle aur resistance "zindagi" ka saboot hai..
isi tarah apne paida karne waale ko pahchan kar uska ahsan mand aur shukar guzar ho kar uski ibadat karna "asal zindgi" hai.... aur usi khaliq ki paida ki hui "makhlooq" se mohabbat karna aur uski khidmat karna zindagi ka maksad hai, aur is makhlooq ko nuksan pohanchane walon se ladna, is zindagi ki "RESISTANCE" hai....
woh insaan jis ki zindgi ka maksad aur uski resistance sirf uske "zaati makasad" poora karna ho (khana, peena, bachhe paida karna), asal ma uski zindgi "janwaron" jaisi hai....
aur yahi is kaynaat ka imtehan hai ki "paani jaisi zinda cheez" se paida hone wali makhlooq me se kitne log "zinda" hone ka saboot dete hain, aur kitne log "janwar" ban jaate hain....... yeh insan ka "maksad" hai jo use insaan hote huwe bhi janwar bana sakta hai..

aur isi imtehan me kamyaab hone waale "zinda" logon k liye "jannat ka maqam" tayyar kiya gaya hai..

Author:- MERAJ SIDDIQUI

No comments:

Post a Comment