Zindagi me aksar cheezein badalti hai, log badalte hai, kismat badalti hai.
Ye badlav koi nayi baat nahi hai. Ye hamesha se hota aaya hai aur hota rahega.
Par kabhi kabhi hum chahte hi nahi hain yakeen karna ki jo ab hai, wo kabhi badlega,
jante bhale hi ho dil mein, ya darte zaroor ho ki sab kuch badal sakta hai, khatm ho sakta hai. Kuch rishte, kuch sapne, kuch daur zindagi ka jaise rukh mod dete hai.
Un mein koi badlav jaise manjoor hi nahi hota. Par zindagi aage badhne ka naam hai. Kal kitna bhi khubsurat kyu na ho, wo aakhir hai to KAL-
jo beet chuka hai, jo dhal chuka hai, jo badal chuka hai. Kal ko thamne se wo laut nahi ayega, aansu bahane se kuchh badal nahi jayega, jo ab hai, wohi haqeeqat hai, is sach ko kaun jhutla payega....Jo beeta hai usse jane do. Us kal ke gham se aaj ki khushi na kam karo. Maana ye mushkil hai, par yahi sahi hai.....Jo beet gayi wo baat gayi.......
Author:- MERAJ SIDDIQUI
No comments:
Post a Comment