Wednesday, August 27, 2014

Raaz e Zindagi

Har cheez me koi na koi raaz chhupa hua hai. Be sabab to kuchh bhi nahi hota. Lekin afsos insaan na to kuchh jaan na chahta hai aur naa hi samajhna,Ye matlab ki duniya hai, yaha har cheez apna ek vajood rakhti hai, lekin kisi bhi insaan me itni taaqat nahi hai ki wo ek tinke ke vajood ko bhi mita sake?

Ye qudrat hai jo hame hamari aukaat dikhaati hai baar baar.

Haa ham sochte zaroor hain. aur jab sochte hain to duniya ki saari hade tod kar baahar nikal jaate hain.
hamne ek chhota sa tinka ek bekaar si machis ki teeli uthayi aur sochne lage kya ham is teeli (stick) ka vajood mita sakte hain?

hamare dimag ke doosre hisse ne hamse kaha

naa!!

tumhari auqaat hi nahi hai ki tum khuda ki khudaai me se apni marzi se kuchh ya to kam kar sako ya badha sako,


hamne poochha lekin kaise?

hamare dimaag ne hamse kaha....

tum kya kar sakte ho zyada se zyada....iss stick ko tod sakte ho?

Agar tod bhi dete ho tab bhi stick ka vajood kai tukdo me tumhare hanth me rahega.Agar tum jala dete ho tab bhi us ki raakh tumhare aas pass bikhar ke rah jaayegi....aur agar us raakh ko uthakar samandar me daal dete ho tab bhi chhote chhote tukdo me stick ka vajood zinda rahega.

hamne kaha haa tum sach bolte ho....

ham jaante hain insaani vajood jo bada ghamand lekar is duniya me jeeta hai, dar asal sab ek dhoke me zinda hai....

Lekin fir hamne poocha ki hame duniya me bhejne ki vajah?

aur aaye kaha se hain ham?hamare sawaal ka jawab do....hamne apne dimaag ke us hisse se sawaal kiya jo hameaha hi kahi na kahi gum rahta hai.na jaane kya talaash karta rahta hai kambakht...

Wo muskuraya aur usne kaha....

agar main tumhe haqiqat ka aaina dikhau tab bhi tum shayad nahi maan paaoge?

hamne kaha kyon?Jo sach hai ham us par bilkul yaqeen karenge.

Usne kaha to suno.

Jab tum paida nahi huye the tab tumhara vajood bikhra hua tha yahi kahi aas pass hi kisi phool me kisi phal me . Kisi genhu(wheat) ya chawal ke hisse me kisi sabzi me. tumko ikattha kiya gaya aur is duniya me laaya gaya.hamne kaha ham nahi samjhe......usne kaha jab tumhare maa baap ne phal khaaye sabziya aur dusri chizen khaayi un chizon se milkar jo kuch unke jismo me paida hua aur dono jismo ka milan hua.....tab tumhara vajood tumhari maa ke pet me ek dhadkan banke dhadka....aur is tarah se tum is duniya me aaye.

hamne kaha Haan haan.....tum sach bolte ho, hamare bikhre huye vajood ko jis tarah se ikattha kiya gaya aur usko ek insaani jism dekar is duniya me laaya gaya.....

Lekin!hame yahan tak laane ka maqsad kya hai?

Usne kaha! 

Qudrat banati aur bigadti hai mujassame.....

hamne phir poocha Lekin banati kyon hain?

Usne kaha, 

jis se tum us khuda ko baar baar sajda karo. aur baar baar usKi taarif karo...

aur jab hamara ye vajood mita diya jaayega tab, hamne sawaal kiya?

to usne kaha Tab phir se tumhara jism mitti me mila diya jaayega.....phir us mitti me kuchh waqt ke baad phool khilenge...phal paida honge kuch anaaj ugega.....aur phir se tumhara jism ek naye vajood me aayega...

Ye silsila hai un logo ke liye jo hoshiyaar hain, aqalmand hain,....aur salahiyat rakhte hain,jo khuda ko pahchante hain.

aur bewaqufo ke liye to duniya bas ek enjoy karne ki jagah hai....is ke siva kuchh bhi nahi......

Author:- MERAJ SIDDIQUI

1 comment:

  1. Bhaai Mai to aapka fan ho gaya bhaai apna number de saktay hain to de den

    ReplyDelete