Saturday, August 30, 2014

THE SHOW MUST GO ON


Let me reminisce for a while and share with you my tryst with the destiny!

No matter what you are going through, you have to wake up and go to office everyday! 

It doesn't matter, if you have better ideas, the client is always right! (You just have to say this, let things unfold, let the client have his own taste of medicine, and then with "awww, I am with you" look in your eyes, quietly laugh in your mind " Idiot, didn't I tell you, this will NOT WORK " :)

Whatever, you do, someone will have the reason to be unhappy with you! Dude this is the biggest learning-YOU CAN NEVER MAKE EVERYONE HAPPY IN THIS LIFE

In every team you work, there will be one bosses' pet. And duh!-
 IT WILL NEVER BE YOU!

Author:- MERAJ SIDDIQUI

Wednesday, August 27, 2014

Raaz e Zindagi

Har cheez me koi na koi raaz chhupa hua hai. Be sabab to kuchh bhi nahi hota. Lekin afsos insaan na to kuchh jaan na chahta hai aur naa hi samajhna,Ye matlab ki duniya hai, yaha har cheez apna ek vajood rakhti hai, lekin kisi bhi insaan me itni taaqat nahi hai ki wo ek tinke ke vajood ko bhi mita sake?

Ye qudrat hai jo hame hamari aukaat dikhaati hai baar baar.

Haa ham sochte zaroor hain. aur jab sochte hain to duniya ki saari hade tod kar baahar nikal jaate hain.
hamne ek chhota sa tinka ek bekaar si machis ki teeli uthayi aur sochne lage kya ham is teeli (stick) ka vajood mita sakte hain?

hamare dimag ke doosre hisse ne hamse kaha

naa!!

tumhari auqaat hi nahi hai ki tum khuda ki khudaai me se apni marzi se kuchh ya to kam kar sako ya badha sako,


hamne poochha lekin kaise?

hamare dimaag ne hamse kaha....

tum kya kar sakte ho zyada se zyada....iss stick ko tod sakte ho?

Agar tod bhi dete ho tab bhi stick ka vajood kai tukdo me tumhare hanth me rahega.Agar tum jala dete ho tab bhi us ki raakh tumhare aas pass bikhar ke rah jaayegi....aur agar us raakh ko uthakar samandar me daal dete ho tab bhi chhote chhote tukdo me stick ka vajood zinda rahega.

hamne kaha haa tum sach bolte ho....

ham jaante hain insaani vajood jo bada ghamand lekar is duniya me jeeta hai, dar asal sab ek dhoke me zinda hai....

Lekin fir hamne poocha ki hame duniya me bhejne ki vajah?

aur aaye kaha se hain ham?hamare sawaal ka jawab do....hamne apne dimaag ke us hisse se sawaal kiya jo hameaha hi kahi na kahi gum rahta hai.na jaane kya talaash karta rahta hai kambakht...

Wo muskuraya aur usne kaha....

agar main tumhe haqiqat ka aaina dikhau tab bhi tum shayad nahi maan paaoge?

hamne kaha kyon?Jo sach hai ham us par bilkul yaqeen karenge.

Usne kaha to suno.

Jab tum paida nahi huye the tab tumhara vajood bikhra hua tha yahi kahi aas pass hi kisi phool me kisi phal me . Kisi genhu(wheat) ya chawal ke hisse me kisi sabzi me. tumko ikattha kiya gaya aur is duniya me laaya gaya.hamne kaha ham nahi samjhe......usne kaha jab tumhare maa baap ne phal khaaye sabziya aur dusri chizen khaayi un chizon se milkar jo kuch unke jismo me paida hua aur dono jismo ka milan hua.....tab tumhara vajood tumhari maa ke pet me ek dhadkan banke dhadka....aur is tarah se tum is duniya me aaye.

hamne kaha Haan haan.....tum sach bolte ho, hamare bikhre huye vajood ko jis tarah se ikattha kiya gaya aur usko ek insaani jism dekar is duniya me laaya gaya.....

Lekin!hame yahan tak laane ka maqsad kya hai?

Usne kaha! 

Qudrat banati aur bigadti hai mujassame.....

hamne phir poocha Lekin banati kyon hain?

Usne kaha, 

jis se tum us khuda ko baar baar sajda karo. aur baar baar usKi taarif karo...

aur jab hamara ye vajood mita diya jaayega tab, hamne sawaal kiya?

to usne kaha Tab phir se tumhara jism mitti me mila diya jaayega.....phir us mitti me kuchh waqt ke baad phool khilenge...phal paida honge kuch anaaj ugega.....aur phir se tumhara jism ek naye vajood me aayega...

Ye silsila hai un logo ke liye jo hoshiyaar hain, aqalmand hain,....aur salahiyat rakhte hain,jo khuda ko pahchante hain.

aur bewaqufo ke liye to duniya bas ek enjoy karne ki jagah hai....is ke siva kuchh bhi nahi......

Author:- MERAJ SIDDIQUI

KYA ZINDAGI SE DUKHO KO REMOVE KIYA JAA SAKTA HAI?

Dukh har insaan ki zindagi me hote hain, lekin har insaan ki zindagi me dukh ka ek alag hi roop hota hai,Agar zindagi me dukh ho hi nahi tab aap kaisa feel karenge?Ye to ham nahi jaante.Lekin ham apni life se dukho ko remove kar sakte hain.Isme koi shak nahi hai,Hamari life me dukh aane ka sirf ek hi reason hai, aur wo hai, hamara dusro se ummide laga kar baith jaana,aur jab wo dusra insaan jis se ham ummid karte hain, hamari ummid k khilaaf karta hai tab hame zahni taur pe dukh hota hi hai,
To phir kyo Rakhte ho ummide.Kyo karte ho dusro par bharosa.Kyo jodte ho apne aap ko kisi dusre ke sath.Kyo dekhte ho aise khwaab jinko pura karna dusro ki madad ke bina mumkin hi nahi hai,Apni zindagi ke raasto ko khud banao aur aage badho.
Hamne apni life me jo bhi kuchh haasil kiya wo sirf Hamara apna hi hai.Hamne koi bhi Kadam agar badhaya hai to pahla Kadam rakhne ke liye jagah banayi hai, tab Kadam rakha hai.
Tab Hame kyo dukh hoga?Ham apne kapdo ko khud dhona pasand karte hain.....dusra agar dhota hai, to kabhi istri sahi nahi hoti thi kabi theek se dhul nahi paate the,Ab jaisa ham chahte hain waisa hi hota hai. Ab hamara dukh khatam ho chuka hai,Ham ek glass paani bhi kisi se maang kar nahi peete.Ham kabhi kisi se nahi kahte ki Hamko khana paros kar do.Hamare bhi to do hanth hain,Ham khud unka use karte hain...isi tarah se ham kisi life se jude hue person se kabi koi ummid nahi karte......aur naa hi zyada logo se milte hain....kyonki ham jaante hain. Wo log hamari baat ko samajh nahi payenge.JO BHI KARNA HAI AAP KHUD HI KIJIYE.KISI PAR YAQEEN MAT KIJIYE. KYONKI INSAAN KA SAB SE ACHCHA DOST WO KHUD HI HO SAKTA HAI,UMMIDE HAME KAMZOR BANATI HAIN,UMMIDE HAME KAAHIL AUR NIKAMMA BANATI HAIN,UMMIDE HI HAME ZINDAGI ME RONE KE LIYE MAJBOOR KARTI HAIN,UMMIDE HI HAMARI ZINDAGI SE SUKOON KO CHHEEN KAR BECHAINIYA BHAR DETI HAI,
zindagi me jo bhi karna hai, wo khud karo.Tum ek misaal ban jaaoge.Tumko jeene ka andaaz aa jaayga.Tumko her qadam per ek roshni milegi.Tumko kabhi koi dukh nahi hoga.Tumko phir sahare talaash karne ki zarurat kaha rahegi.Tumko har wo cheej paa kar sukoon hoga jo tum ne khud apni mehnat aur yaqin se hasil ki hai.Tumko log izzat ki nazro se dekhenge.Tumko iss dunya me koi khareed nahi paayega.Tumko khuda bhi har jaayaz cheez se navazega.ham aaj bhi jaante hain. aur kahte hain."HAM TO DARYA HAI AUR APNA HUNAR BHI HAI MAALUM JIS TARAF CHALENGE RAASTA HO JAAYGA."

Author:- MERAJ SIDDIQUI

Insan kyun Pareshan hai?

Insaan bimaar kyon hota hai? musibate kyon aati hain? Aaiye aapko batate hain, 

ham aksar apne charo taraf pareshaan, bimaar, or musibat me phanse huye logo ko dekhte hain,Aakhir kya hai in pareshaniyo ka reason?HAMESHA YAAD RAKHO KOI BHI MUSIBAT KISI BHI LIFE ME KHUDA KI TARAF SE KABHI NAHI AATI, NAA HI KHUDA KABHI KISI PAR ZULM KARTA HAI,Dar asal apni pareshaaniyo ki vajah insaan khud hi hota hai,Jo karm hamne aaj kiye hain, wo wapas hokar ek din hamare paas zarur aayenge, hamari ya aapki musibato ka reason, jo hamne kal kisi k sath kiya tha, wo palat kar hi hamari life me aata hai,Kab aur kaise insaan ghalti karta hai,Kisi ka dil agar dukh gaya hai, to saza bhayankar,Agar Apni maa, aur baap ke farzo ko ada nahi kiya unko sataya, to duniya ki koi taqat apko musibat se baahar nahi nikal sakti.Biwi ko pair ki jooti, aur kewal use ek cheez samajhne wale insaan ki life tabaah ho jaati hai, fir koi sant, koi mahatma, koi faqeer lakh chahne ke baad bhi hamari madad nahi kar paata.....

agar iss janam me saza kam mili to agla janam bhikhari aur be izzati ka milna pakka?Bahen, bhaai. Padosi. Sab ka haq har insaan ki life ka ik aisa part hai jo hamare kal ka nirmaan karta hai,aur ek kamzor ko satana aur dabaana,........iska badla itna bura hai jis ke baare me aap soch bhi nahi sakte.Agar aap pareshaan hain,,, to khud talaash karo....galti kaha hain,,,,jaha galti hai wahi solution bhi chhupa hua hai.

Author:- MERAJ SIDDIQUI

Zindagi me badlaav?

Zindagi me aksar cheezein badalti hai, log badalte hai, kismat badalti hai. 

Ye badlav koi nayi baat nahi hai. Ye hamesha se hota aaya hai aur hota rahega.

 Par kabhi kabhi hum chahte hi nahi hain yakeen karna ki jo ab hai, wo kabhi badlega, 

jante bhale hi ho dil mein, ya darte zaroor ho ki sab kuch badal sakta hai, khatm ho sakta hai. Kuch rishte, kuch sapne, kuch daur zindagi ka jaise rukh mod dete hai. 

Un mein koi badlav jaise manjoor hi nahi hota. Par zindagi aage badhne ka naam hai. Kal kitna bhi khubsurat kyu na ho, wo aakhir hai to KAL- 

jo beet chuka hai, jo dhal chuka hai, jo badal chuka hai. Kal ko thamne se wo laut nahi ayega, aansu bahane se kuchh badal nahi jayega, jo ab hai, wohi haqeeqat hai, is sach ko kaun jhutla payega....Jo beeta hai usse jane do. Us kal ke gham se aaj ki khushi na kam karo. Maana ye mushkil hai, par yahi sahi hai.....Jo beet gayi wo baat gayi.......

Author:- MERAJ SIDDIQUI

Zindagi kyun hai? Kis liye hai?

hamari zindagi ka maksad kya hai, kisliye hain ham yahan hain,kya kisi ne hame yahan bheja hai kuchh khaas maksad ke liye tamam sawalaat ke jawab dhoondenge?
yeh woh sawal hai jiska jawab talash karne, samajhne aur phir us par amal karne ke liye hame takreeban 60 saal diye jate hain :) , aur is sawal ka jawab "bayan" karne ke liye duniya ka tamaam ilm haasil karna pade to bhi kam pad jayega :)
zindagi ko dusre lafzon me kaha ja sakta hai "apna maqsad hasil karne ke liye STRUGGLE aur apne maqsad se rokne wale ke liye RESISTANCE show karna "
zindgi ki misal "pani" hai..maut ki misal "mitti" hai ...
mitti yaani murda cheez ka koi zaati maqsad nahi hai,
lekin zinda cheeje ise apne maqsad k liye istemal karti hain.
paani ka maqsad duniya ki har cheez ke kaam aana hai,
aur is maqsad ko poora karne ke liye paani safar karta rahta hai, mousam badalne ke liye samandar se hawa main, makhlooq ki zarurat k liye hawa se pahad par, pahad se maidan ki taraf aur maidan se samandari makhlooq k liye khuraak le kar samandar ki taraf, HAMESHA safar karta rahta hai, aur JO KOI IS KA RASTA ROKNE KI KOSHISH KARE US KE KHILAF RESISTANCE SHOW KARTA HAI AUR AKHIR KAAR KHUD APNA RAASTA NIKAL LETA HAI...
isi tarhan zindgi ki dusri misal "janwar" hain, tamam janwar bhi apne maksad k sath "zinda" hain aur apne raste me padne wali rukawat par "resist" karte nazar aate hain lekin "paani" me aur janwar me farq yeh hai k paani sirf "dusron" ki khatir safar karta hai jabki "janwar" sirf apne "zaati" makasad k liye zinda hain aur sirf "khane, peene aur bachaa paida karne ke liye" safar karta hain aur sirf us cheez k aage resist karte hain jo unhe "apna matlab poora karne se roke" , yahan tak k aik bakra dusre bakre ko isliye seeng marta hai ki woh us k pasandeedah paudhe ko kha raha hota hai.
lekin in sab cheezon ke alaawa kaaynaat me ek anokhi makhlooq bhi hai jise "insaan" kaha jata hai.. aur "haqiqi zindgi" sirf insanon ko ata ki gayi hai, aur is haqiqi zindagi ke raaz samjhanae ke liye is kaaynaat ki har cheez sajaayi gayi hai..
insaanon ki "haqiqi zindagi" ka talluk aqal se hai aur aqal ka talluk "ilm" se hai.. lihaaza haqiqat me, zinda insan woh hai jiska safar aur uski struggle "ilm" haasil karne ke liye hai..
insaan k liye sab se bada ilm yeh hai ki woh is baat ki tehqeeq me lage ki use aur uski kaaynaat ko paida kis ne kiya? is sawal ko hal karne ke liye struggle aur resistance "zindagi" ka saboot hai..
isi tarah apne paida karne waale ko pahchan kar uska ahsan mand aur shukar guzar ho kar uski ibadat karna "asal zindgi" hai.... aur usi khaliq ki paida ki hui "makhlooq" se mohabbat karna aur uski khidmat karna zindagi ka maksad hai, aur is makhlooq ko nuksan pohanchane walon se ladna, is zindagi ki "RESISTANCE" hai....
woh insaan jis ki zindgi ka maksad aur uski resistance sirf uske "zaati makasad" poora karna ho (khana, peena, bachhe paida karna), asal ma uski zindgi "janwaron" jaisi hai....
aur yahi is kaynaat ka imtehan hai ki "paani jaisi zinda cheez" se paida hone wali makhlooq me se kitne log "zinda" hone ka saboot dete hain, aur kitne log "janwar" ban jaate hain....... yeh insan ka "maksad" hai jo use insaan hote huwe bhi janwar bana sakta hai..

aur isi imtehan me kamyaab hone waale "zinda" logon k liye "jannat ka maqam" tayyar kiya gaya hai..

Author:- MERAJ SIDDIQUI

Zindagi Kya hai?

Aaiye sabse pahle jante hain ki

Yeh zindagi kya hai? 
Kya iski haqeeqat hai? 
Kya yeh doulat hai? Doulat hai to kya iski keemat hai? 
Kya yeh Mohabbat hai? Mohabbat hai to kya iski izzat hai? 
Kya yeh baghawat hai? Baghawat hai to kya iski shohrat hai? 
Kya yeh Nafrat hai? Nafrat hai to kya iski zaroorat hai? 
Kya yeh soughaat hai? Soughaat hai to kya iski lizzat hai? 
Kya yeh sharafat hai? Sharafat hai to kya iski banawat hai? 
Kya yeh chahat hai? Chahat hai to kya iski Shiddat hai? 
Kya yeh mehnat hai? Mehnat hai to kya iski sahoolat hai? 
Kya yeh Dosti hai? Dosti hai to kya iski milawat hai? 
Kya yeh rasta hai? Rasta hai to kya iski manzil hai? 
Kya zindagi dard hai? Dard hai to kya guzarna mushkil hai? 
Kya yeh khushi hai? Khushi hai to kyon palkon pe chilmil hai? 
Kya zindagi HUM hain? HUM hain to kya humari ibtida hai? 
Kya matti humari ibtida hai? Matti humari ibtida-o-inteha hai to.... 
to.... to... kya.... Kya humein yeh yaad hai.. 
Jo humein yeh yaad nahin, To kya hum abaad hoke bhi shaad hain.. 
Kya yeh ehsaas hai? Ehsaas hai to kya yeh khaas hai? 
Main bataon ZinDagi kya hai, 
Zindagi kuch nahin bas Ek saans hai.


Author:- MERAJ SIDDIQUI