Saturday, September 13, 2014

ZINDAGI KA MAQSAD ( PURPOSE OF LIFE )

ZINDAGI KA SAB SE BADA MAQSAD KYA HONA CHAIYE ?
ALLAH KO RAAZI KARNA , JANNAT ME JAANA HAI, AUR DOZAKH (HELL) SE NIJAAT HASIL KERNI HAI , YE INSAN KI ZINDAGI KA MAQSAD HONA CHAIYE , AB APNI ZINDAGI PAR NAZAR DALIYE KYA HAMARE AMAL AISE HAI KI HUM ALLAH KO RAZI KAR SAKE , ALLAH KO RAAZI KAR LIYA TO AUTOMATICALLY JANNAT AP KI MUNTAZIR HOGI AUR DOZAKH SE NIJAT MIL JAYEGI . 

ZINDAGI KA MAQSAD KIYA HAI , AKHIR ALLAH TALA NE HAME  PAIDA KYUN KIYA HAI , KYA ALLAH NE HAME IS WAJAH SE PAIDA KIYA HAI KI HUM IS DUNIYA ME AYASHI KARE, GALIYAN DE , HAMARAI HAR BAAT KA AGHAZ GAALI SE HOTA HAI AUR HAMARI HAR BAAT KA IKHTITAM GAALI PAR , HAMARE HAR BAAT LADKI SAY START HO KAR LADKI PAR KHATAM HO JATI HAI , HAMARI HAR BAAT KA AGHAZ JHOOT AUR GHEEBAT SE START HOTA HAI AUR USI PAR KHATAM HO JATI HAI, MAA BAAP KO BURA BHALA KAHNA , HAR KISI KO BURA KAHNA , BADMSAHI KARNA , SHARAB PEENA , ZINA KARNA , QATAL KARNA , HER KISI KE LIYE BURA SOCHNA , KISI KO KHUSH DEKH KAR US SE HASAD KARNA BALKI US PAR JADOO TONE KAR WAKAI US KI ZINDAGI KHARAB KAR DENA , MOBILE PAISA CHEEN NE KE CHAKAR ME KISI NOJAWAN KO QATAL KAR DENA , KYA YAHEE SAB AUR JO KUCH AJ KAL KI HAMARI SOCIETY ME HO RAHA HAI , HAR WOH BURA KAAM JIS SE ALLAH AUR US KE NABI AUR QURAN MAJEED AUR ISLAM NE HAME KARNE  SE ROKA HAO , WOH SAB HUM KAR RAHE HAI , KYA ALLAH NE HAME ISI WAJAH SE PAIDA KIYA HAI YA HAMARE ZINDAGI KA MAQSAD KUCH AUR HAI , JO KI HAMNE BHULA DIYA HAI , HAR WAQT SHAITAN KE BATAYE HUWE RASTE PAR CHALTE HAI AUR HAR BURA KAAM KERTE HAI AUR QABAR KO BHOOL GAYE HAI , APNI MOUT KO BHOOL GAYE HAI , DOZAKH KE AZAZB KO BHOOL GAYE HAI , ALLAH AUR NABI KO BHOOL GAYE HAI , HUM SAB KEHTAY HAY HUM ALLAH OR US KAY NABI SAY BOHAT PYAR KERTAY HAY KABHEE APNAE DIL SE POOCHO KYA WAQAI ME HUM ALLAH AUR US KE NABI SE BAHOT PYAR KERTE HAI TO PHIR JO HUM IS DUNIYA ME KAR RAHE HAI AUR JO IS SOCIETY ME HAR WOH BURA KAAM JIS SE ALLAH AUR US KE NABI NE MANA KIYA WOH KYUN HO RAHA HAI , AJ KAL KA ZAMANA TO YE HAI KI AGAR KOI SHAKS DEEN KI BAAT KARTA HAI AUR DEEN KE RAASTE PAR CHALTA HAI TO HUM US KO IS DUNIYA KA SAB SE BADA BEWAQOOF SAMAJHTE HAI AUR US KA MAZAK UDAATE HAI , DEEN KI BAAT SUN NE KE LIYE HAMARE PAAS TIME NAHI HAI AUR DOOSRE KAAM KARNE KE LIYE HAMARE PASS BAHAOT TIME HAI , NAMAZ PADHNE KE LIYE HAMARE PASS BILKUL BHI TIME NAHI HAI . 

ALLAH NE HAME APNI IBADAT KE LIYE BHEJA HAI , ALLAH NE HAME IS DUNIYA ME IS LIYE BHEJA KI HUM ISLAM KI TALEEMAT KO AAM KARE ,ISLAMI TALEEMAT PAR AMAL KARE , ALLAH KI IBADAT KARE , NABI KE BATAYE HUWE RASTE PAR CHALE , NABI KI ZINDAGI HAMARE LIYE NAMOONA HAI JIS KO HAME FOLLOW KARNA HAI , JO KI HUM NAHI KERTE HAI . 

ZINDAGI EK DAFA MILI HAI IS KO ENJOY KARO . BILKUL SAHI KAHA ENJOY KARO LEKIN LIMIT ME RAH KAR , 

LIMIT KYA HAI?  

JO ISLAM NE BATAI HAI , KYA KYA KARNA HAI AUR KYA NAHI KARNA , KIS CHEEZ SE BACHNA HAI AUR KYA CHEEZ TUMHARE LIYE HALAL HAI AUR KYA CHEEZ TUMHARE LIYE HARAM HAI . YA JO HUM BOLTE HAI NA KI ENJOY KARO YAAR ZINDAGI EK DAFA MILTI HAI JO KARNA HAI KAR LO , KABHI SOCHA HAI KI YE HAM SAHI BOLTE HAI YA NAHI ,ANGREZ AUR NON MUSLIM AGAR YE BAAT KARE ZINDAGI EK DAFA MILI HAI JO KARNA HAI KAR LO , AGAR WO KAHE TO BAAT SAMAJH ME AATI HAI , KYUN KI WO MARNE KE BAAD DOBARA ZINDA HONE PAR YAQEEN NAHI RAKHTE HAI,ALLAH TALA PAR IMAN NAHI RAKHTE HAI , HAZRAT MUHAMMAD (S A W) KO ALLAH KA AKHRI NABI NAHI MANTE HAI , JANNAT AUR DOZAKH KE CONECPT PAR YAQEEN NAHI RAKHTE HAI, QABAR KE AZAAB PAR YAQEEN NAHI RAKHTE HAI, MAUT KE BAAD DOBARA ZINDA HONE PAR YAQEEN NAHI RAKHTE HAO , UNKA IN CHEEZO PAR IMAN HAI HI NAHI , HAAN AGAR WOH ZINDAGI KO ENJOY KARE , HAR BURA KAAM JIS SE ALLAH NE ROKA HAI WOH KARE TO SAMAJH AA JAATI HAI BAAT KI UN KE LIYE TO YAHI DUNIYA JANNAT HAI JAB KI MUSALMAN KE LIYE YE JAGAH EK EXAM KI TARAH HAI JIS KA RESULT PASS YA FAIL ME SE AYE GA , PASS HO GAYA TO JANNAT AUR FAIL HO GAYA TO DOZAKH US KA INTEZAR KZR RAHE HAI ,  MUSALMAN KE NAZAR ME YE ZINDAGI ARZI HAI ,  MUSALMAN MERTE NAHI HAI BALKI MUSALMANO KA INTIQAL HOTA HAI , HAM EK JAGAH SE DOOSRI JAGAH MUNTAQIL HO JAATE HAI , AUR QAYAMAT KE DIN HAM SAB DOBARA ZINDA HONGE , AUR US KE BAAD HISAAB KITAAB HOGA AUR US KE BAAD JO ZINDAGI  START HOGI WO NA KHATAM HONE WAALI ZINDAGI HOGI , AUR WO BASE KERTI HAI US ZINDAGI PAR JO HUM NE DUNIYA ME GUZAARI , AGAR ALLAH KE BATAYE HUWE RASTE PAR GUZAARI , HARAM KAAM SE BACHTE RAHE , GUNAAH KE KAAM SE BACHTE RAHE AUR NAIK AMAAL AUR HALAL KAAM KERTE RAHE AUR HALAL KHATE RAHE TO QAYAMAT KE DIN KHUSHKHABRI MILEGI JANNAT MEY JANE KI.

AJ KAL KE NAUJAWAN NASAL WAISE TO BAHAOT ISLAMIC HOTE JA RAHE HAI , KYUN KI TABLEEG KA KAAM BAHOT ZOR O SHOR SE JAARI HAI , TABLEEG KI BAAT SUN KAR HAMARE ZAHEN ME YE BAAT AATI HAI KI , HUM TO MUSALMAN HAI TO YE TABLEEG WALE HAMARE PASS KYUN AA JATE AUR HAME KYA SAMJHANE KI KOSHISH KAR RAHE HOTE HAI , IN KO CHAIYE KI WO NON MUSLIM KE PASS JAAYE AUR UNKO ISLAM KI DAWAT DE , AP KI SOCH SAHI HAI , LEKIN KABHI AAP NEY APNI ZINDAGI PAR NAZAR DAUDAYI HAI KI AAP KYA KAR RAHE HAI , AAP APNI ZINDAGI KIS TARAH GUZAAR RAHE HAI , ISLAM KE ADAB KA AAP KO PATA HAI , QURAN AUR HADEES ME KYA LIKHA HUWA HAI , KIS TARAH ZINDAGI GUZARNI HAI , KIS CHEEZ SE BACHANA HAI , KYA HALAL HAI KYA HARAM HAI , ZINDAGI KA ASAL MAQSAD KYA HAI , ALLAH NE HAME KYUN BHEJA HAI IS DUNIYA ME , KYA HAM SIRF IS DUNIYA ME PAISA KAMAANE , KHANA KHAANE , GAANAE SUN NE , AUR APNI MAN MAANI SE ZINDAGI GUZARNE KE LIYE AAYE HAI , NAHI AISA HAR GIZ NAHI HAI , BAAT HO RAHI THI NAUJAWAN NASAL KI KYA WO BAHOT ZYADA ISLAMIC HOTE JA RAHE HAI , JAISA KI AAP KO PATA HOGA KI JAWANI KI IBADAT ALLAH KO BAHOT PASAND HAI , JO SHAKS JAWANI ME ALLAH KE BATAYE HUWE USOOL PAR CHALE TO USKE LIYE AKHIRAT KI MANZAIL BAHOT ASAN HO JATI HAI , JAHAN NAIJAWAN NASAL ISLAM KE RASTE PAR CHAL RAHI HAI WAHIN PAR BAHOT BADI TADAAD UN NAUJAWANO KI HAI JO APNI MAN CHAHAT ZINDAGI GUZAR RAHE HAI , SHAITAN KE BATAYE HUWE RASTE PAR CHAL RAHE HAI , GALIYAN DENA , BADMASHI KARNA , SHARAB PEENA , NASHA KARNA , QATAL KARNA , SEX KARNA , LADKI KO BURI NAZAR SE DEKHNA , DOSTO YAARO KE SAATH ULTI SEEDHI HERKATEN KARNA , KISI KI IZZAT NA KARNA , NAMAZ NA PADHNA , ROZE NA RAKHNA , ZAKAAT NA DENA , SADQA NA DENA , MAA BAAP KE SATH BAD TAMEEZI KARNA , LADKIYO KEY SAATH BADTAMEEZI KARNA , LADKIYO KO BURI NAZAR SE DEKHNA , LADKIYO KE LIYE DIL ME BURE KHAYAL LAANA , GANDI FILM DEKHNA , GANDI WEBSITE PAR TASVEER AUR VIDEO DEKHNA , PAISA CHORI KARNA , DAAKE DALNA , HARAM KHANA , DOOSRO KO BURI NAZAR SE DEKHNA , AUR WO YE SAB KAAM KAR KEY APNE AAP KO BAHOT ACHHA SAMAJHTE HAIN , HAM BAHOT BADE BADMASH HAIN HAM SE POORI DUNIYA KE LOG DARTE HAI AUR HAM IS DUNIYA KE BADSHAH HAI KISI KI HIMMAT NAHI HAI HAM SE KOI KUCHH KAHE , AGAR KOI UN KO NASIHAT KARNE AATA HAI TO GUSSA HOTE HAI AUR US KO DHAMKI DEKAR AUR US KO PAGAL SAMAJH KAR KE US KA MAZAK UDA KAR US KO BHAGA DETE HAI, WOH KYA SAMAJHTE HAI IS TARAH KI ZINDAGI GUZAR KAR KR KYA WOH ALLAH AUR US KE NABI KO RAAZI KAR LENGE , KYUN UN KO KHAUF E KHUDA NAHI RAHA , KYA WOH DOZAKH KE AZAAB SE LA ILM HAI , KYA WOH QABAR KE AZAB SE LA ILM HAI , KYA WOH QAYAMAT KE DIN ALLAH KE SAMNE HAZIR HONA NAHI HAI AUR JO KUCH DUNIYA ME KIYA HAI US KA HISAB KITAB DENA NAHI HAI US SE GHAFIL HAI , KYA WOH YE SAMAJHTE HAI KI IS DUNIYA SE JAB WOH MAR KAR DOOSRI DUINIYA ME JAYENGE AUR QAYAMAT KE DIN UTHENGE TO ALLAH UN SE YE NAHI POCHE GA KI ZINDAGI KIS TARAH GUZAARI , KAHAN GUZAARI , PAISA KAHAN SE KAMAAYA AUR KIS PAR KHARCH KIYA , ALLAH AUR NABI KE BATAYE HUWE RASTE PAR CHALEY YA NAHI , NAMAZ PABANDI SE PADHE YA NAHI , ROZE RAKHE YA NAHI , ZAKAT DI YA NAHI , QURAN SHAREEF PADHA YA NAHI , QURAN SEEKHA YA NAHI , QURAN KI TALEEM SEEKHI YA NAHI , QURAN KE BATAAYE HUWE RASTE PAR CHALE YA NAHI , QURAN KI TALEEMAT KO AAGE POHANCHAYA YA NAHI , HALAL KHAYA YA NAHI , JIN KAAMO SE ROKA THA US SE RUKE YA NAHI , BURE KASM SE RUKE YA NAHI , MAA BAAP KI IZZAT KI YA NAHI , BUZARGO KO ETARAZM AUR CHHOTO PAR SHAFQAT KI YA NAHI , DOOSRO KO UN KA HAQ DIYA YA NAHI , KISI SE HASAD KI YA NAHI , KISI PAR JADOO TONA TO NAHEI KIYA, KISI KA HAQ TO NAHI MAARA , KISI KE SATH NA INSAFI TO NAHI KI , NABI KI ZINDAGI HAMARE LIYE NAMOONA HAI , NABI NE JO ZINDAGI GUZARNE KA TAREEQA BATAYA HAI US PAR AMAL KIYA YA APNI MAN MANI CHALAI , MASLA YE HAI KI BURE KAAM KARNE ME BAHOT LAZZAT HAI , BAHOT SUKOON MILTA HAI JO KI WAQTI HOTA HAI , LEKIN WOH SUKOON NAHI HOTA HAI , KYUN KI SUKOON TO ALLAH KE BATAYE HUWE RASTE PAR CHALNE SE AYE GA , GUNAH KI LAZZAT KUCHH DER KI HOTI HAI LEKIN US KEY BAAD US KE ASRAAT BAHOT BURE NIKALTE HAI , BURE KAAM KO CHHODNE ME BAHOT MASLA HOTA HAI AUR ACHHE KAAM KARNE ME BAHOT MASLA HOTA HAI , 3 GHANTE KI GANDI GANDI FILM DEKHNE ME TIME KA PATA HI NAHI CHALTA , LEKIN NAMAZ PADHNE ME , QURAN MAJEED KI TILAWAT KARNE ME , NEK AMAL KARNE ME , ZIKAR AZKAR KARNE ME , ISLAMIC POST PADHNE ME , US KO PADH KAR AGAR BAAT DIL KO LAGE TO DOOSRO KO FOWRWAD KEARNE ME , ISLAM KI TALEEM DENE SE KI DOOSRE LOG BHI SAHI RASTE PAR AA JAYE BAHOT MUSHKIL KAAM HOTA HAI , HAMARA YE YAQEEN HAI KI AB KOI NABI NAHI AYE GA , AB DAWAT ISLAM KA KAAM HAM MUSALMAN JO IS DUNIYA ME MAUJOOD HAI UN HI KO KARNA HAI AUR APNE MUSLAMAN BHAI AUR BAHNO KO SAHI RASTE KI TARAF LAANE KI KOSHISH KARNI HAI AUR UN KO TALEEM DENA HAI KI APNI MAN CHAHAT ZINDAGI NA GUZARE ALLAH KE BATAYE HUWE RASTE PAR AA JAYE . NAUJAWAN NASAL KO KIS CHEEZ SE BACHNA CHAIYE, GALIYAN DENE SE , BURE BAAT KERNE SE , GEEBAT KARNE SE , HASAD KARNE SE , HARAM KHANE SE , SEX KARNE SE , SHARAB PEENE SE , LADKIYO KO BURI NAZAR SE DEKHNE SEY , LADKIYO KE LIYE DIL ME GANDI NIYAT RAKHNE SE , DOOSRO KO HAQEER SAMAJHNE SE , , GANDI GANDI FILM DEKHNE SE , HAR HARAM KAAM KARNE SE , QATAL KARNE SE ,CHORI KARNE SE . 

BAAT SIRF ITNI SI HAI KI HAME ALLAH NE APNI IBADAT KE LIYE PAIDA KIYA HAI , ZINDAGI KIS TARAH GUZARNI HAI QURAN MAJEED HAMARE PAAS MAUJOOD HAI , HAZRAT MUHAMMAD (S A W) KI POORI ZINDAGI HAMARE LIYE EK NAMOONA HAI , JO JO QURAN ME HAI , HAZRAT MUHAMMAD (S A W) NE SAB PRACTICALLY KAR KE DIKHA DIYA HAI , HAME UN KI ZINDAGI KO FOLLOW KARNA HAI ISI ME KAMYABI HAI , MAUT KA KUCH NAHI PATA ZAMEEN KHA GAYI NAUJAWAN KAISE KAISE , MAUT YE  NAHI DEKHTI KI MARNE WALA BACHHA HAI YA JAWAN HAI YA BOODHA HAI , JAB US KO AANA HOTA HAI TO BAGAIR BATAYE ACHANAK AA JAATI HAI , AGAR KAPDE LENA HO TO KAPDE WALE KE PAAS JAANA HOTA HAI, COMPUTER LENA HO TO COMPUTER WALE KE PAAS JAANA HOTA HAI , BIRYANI LENI HO TO BIRYANI WAALE KE PAAS JAANA HOTA HAI ISI TARAH SE AGAR ALLAH WALA BAN NA HAI AUR BURE KAAM CHHODNE HAI TO ALLAH WALO KE PAAS JANA PADEGA AUR AGAR AAP ALLAH WAALE KE PAAS CHALE GAYE TO AAP KI ZINDAGI SANWAR JAYEGI WSRNA GHAFLAT ME ZINDAGI GUZAR JAYEGI AUR AGAR USI HALAT ME MAR GAYE TO BAHOT BURA ANJAM HOGA HAMARA , ALLAH SE HAR WAQT HIDAYAT KI DUA MANGIYE KI AYE ALLAH MUJHE HIDAYAT DE , MUJHE NEK RASTE PAR CHALA DE AUR MUJHE BURAI KE KAAM SE ROK LE , AGAR AAP HIDAYAT MANGE GE ALLAH SE TO ALLAH AAP KO HIDAYAT ZAROOR DENGE. ALLAH WAALE KE PAAS JAANA KYUN ZAROORI HAI KYUN KI JAB TAK HAME PATA HI NAHI CHALEGA KI ZINDAGI KA MAQSAD KYA HAI , ZINDAGI KIS TARAH GUZARNI HAI TO KIS TARAH AAP SAHI RASTE PAR CHALO GE , NAMAZ KI PABANDI BAHOT ZAROORI HAI IS SE INSAN GUNAH SE BACHTA HAI , NAMAZ BA JAMAT ADA KARNE KI HAR MUMKIN KOSHISH KI JAAYE , HAQOOQ ALLAL AUR HAQOOQ UL IBAD (ALLAH KE BANDE KE HAQ) KO POORA KIYA JAAYE , QURAN MAJEED KI TILAWAT KI JAAYE , DUA KI JAYAE APNE LIYE , APNE MAA BAAP , BAHEN BHAI KE LIYE , APNE LIYE AUR SAB KE LIYE HIDAYAT KI DUA MANGAIYE , DUA SE INSAN KI TAQDEER TAK BADAL JAATI HAI , ALLAH PAR BHAROSA RAKHIYE , ALLAH KI RASSI KO MAZBOOTI SE THAAM KAR RAKHIYE , NEK KAAM KARE , BURAI SE BACHE IN SHA ALLAH KHAATMA IMAN PAR HOGA ! ALLAH NE KAHA HAI KI ACHHI BAAT DOOSRO TAK PHAILAAO , AGAR INSAN DUNIYA ME KUCHH AISA KAAM KAR KE CHALE JAAYE JIS SE DOOSRE INSAN KA FAYEDA HO TO MARNEY WAALE INSAN KO US KA SAWAAB MILTA RAHTA HAI , ISI TARAH AGAR EK INSAN AISA KAAM KAR KE MARTA HAI JIS KI WAJAH SE DOOSRE LOG BHI BURE KAAM ME PADE RAH JAATE HAI US KE GUNAH US BANDE KE MARNE KE BAWAJOOD US KO MILTA RAHTA HAI , SO BURAI KO ROKIYE AUR US SE BACHE AUR NEKI KO APNAIYE AUR US KO PHAILAIYE. QURAN MAJEED KI TILAWT KO APNI ROZ KI ADAT BANA LIJIYE , FAJAR AUR ISHA KI NAMAZ KHAAS TAUR PAR BA JAMAAT WAQT PEAR ADA KIJIYE.

KEEP FORWARDING AND SHARING WITH OTHERS ! JAZAK ALLAH KAHIR !


Author :- MERAJ SIDDIQUI



Insaan Ki Haqiqat Kya Hai....???

Insan Apni Marzi Ke Bina Duniya Me aata Hai,
Aur Apni Marzi Ke Bina yahan se chala jata Hai.
Bachpan Me Farishta Jawani Me shaitan 
Aur Budhape Me Bewaqoof samjha jaata Hai.
Ghareeb Hai To Fizool Hai, 
Ameer Hai To Maghroor Hai, 
Khairaat Karta Hai To shohrat Ka Bhooka, 
Nahi Kare To Kanjoos Hai.
Mazhab Parast Hai to jaahil kahlaata Hai. 
Mazhab se Door Hai To Gunahgaar Hai.
Duniya Me Aata Hai To Har Koi use Choomna Chahta Hai,
Marne K Bad Har Koi Us se jaan Chhurana Chahta Hai.
paidaish K Waqt Khud Rota Hai, 
Aur Marte Waqt Sab Ko Rulaata Hai.
Aakhir is insan Ki Haqeeqat hai kya?

Author:- Meraj Siddiqui

Saturday, August 30, 2014

THE SHOW MUST GO ON


Let me reminisce for a while and share with you my tryst with the destiny!

No matter what you are going through, you have to wake up and go to office everyday! 

It doesn't matter, if you have better ideas, the client is always right! (You just have to say this, let things unfold, let the client have his own taste of medicine, and then with "awww, I am with you" look in your eyes, quietly laugh in your mind " Idiot, didn't I tell you, this will NOT WORK " :)

Whatever, you do, someone will have the reason to be unhappy with you! Dude this is the biggest learning-YOU CAN NEVER MAKE EVERYONE HAPPY IN THIS LIFE

In every team you work, there will be one bosses' pet. And duh!-
 IT WILL NEVER BE YOU!

Author:- MERAJ SIDDIQUI

Wednesday, August 27, 2014

Raaz e Zindagi

Har cheez me koi na koi raaz chhupa hua hai. Be sabab to kuchh bhi nahi hota. Lekin afsos insaan na to kuchh jaan na chahta hai aur naa hi samajhna,Ye matlab ki duniya hai, yaha har cheez apna ek vajood rakhti hai, lekin kisi bhi insaan me itni taaqat nahi hai ki wo ek tinke ke vajood ko bhi mita sake?

Ye qudrat hai jo hame hamari aukaat dikhaati hai baar baar.

Haa ham sochte zaroor hain. aur jab sochte hain to duniya ki saari hade tod kar baahar nikal jaate hain.
hamne ek chhota sa tinka ek bekaar si machis ki teeli uthayi aur sochne lage kya ham is teeli (stick) ka vajood mita sakte hain?

hamare dimag ke doosre hisse ne hamse kaha

naa!!

tumhari auqaat hi nahi hai ki tum khuda ki khudaai me se apni marzi se kuchh ya to kam kar sako ya badha sako,


hamne poochha lekin kaise?

hamare dimaag ne hamse kaha....

tum kya kar sakte ho zyada se zyada....iss stick ko tod sakte ho?

Agar tod bhi dete ho tab bhi stick ka vajood kai tukdo me tumhare hanth me rahega.Agar tum jala dete ho tab bhi us ki raakh tumhare aas pass bikhar ke rah jaayegi....aur agar us raakh ko uthakar samandar me daal dete ho tab bhi chhote chhote tukdo me stick ka vajood zinda rahega.

hamne kaha haa tum sach bolte ho....

ham jaante hain insaani vajood jo bada ghamand lekar is duniya me jeeta hai, dar asal sab ek dhoke me zinda hai....

Lekin fir hamne poocha ki hame duniya me bhejne ki vajah?

aur aaye kaha se hain ham?hamare sawaal ka jawab do....hamne apne dimaag ke us hisse se sawaal kiya jo hameaha hi kahi na kahi gum rahta hai.na jaane kya talaash karta rahta hai kambakht...

Wo muskuraya aur usne kaha....

agar main tumhe haqiqat ka aaina dikhau tab bhi tum shayad nahi maan paaoge?

hamne kaha kyon?Jo sach hai ham us par bilkul yaqeen karenge.

Usne kaha to suno.

Jab tum paida nahi huye the tab tumhara vajood bikhra hua tha yahi kahi aas pass hi kisi phool me kisi phal me . Kisi genhu(wheat) ya chawal ke hisse me kisi sabzi me. tumko ikattha kiya gaya aur is duniya me laaya gaya.hamne kaha ham nahi samjhe......usne kaha jab tumhare maa baap ne phal khaaye sabziya aur dusri chizen khaayi un chizon se milkar jo kuch unke jismo me paida hua aur dono jismo ka milan hua.....tab tumhara vajood tumhari maa ke pet me ek dhadkan banke dhadka....aur is tarah se tum is duniya me aaye.

hamne kaha Haan haan.....tum sach bolte ho, hamare bikhre huye vajood ko jis tarah se ikattha kiya gaya aur usko ek insaani jism dekar is duniya me laaya gaya.....

Lekin!hame yahan tak laane ka maqsad kya hai?

Usne kaha! 

Qudrat banati aur bigadti hai mujassame.....

hamne phir poocha Lekin banati kyon hain?

Usne kaha, 

jis se tum us khuda ko baar baar sajda karo. aur baar baar usKi taarif karo...

aur jab hamara ye vajood mita diya jaayega tab, hamne sawaal kiya?

to usne kaha Tab phir se tumhara jism mitti me mila diya jaayega.....phir us mitti me kuchh waqt ke baad phool khilenge...phal paida honge kuch anaaj ugega.....aur phir se tumhara jism ek naye vajood me aayega...

Ye silsila hai un logo ke liye jo hoshiyaar hain, aqalmand hain,....aur salahiyat rakhte hain,jo khuda ko pahchante hain.

aur bewaqufo ke liye to duniya bas ek enjoy karne ki jagah hai....is ke siva kuchh bhi nahi......

Author:- MERAJ SIDDIQUI

KYA ZINDAGI SE DUKHO KO REMOVE KIYA JAA SAKTA HAI?

Dukh har insaan ki zindagi me hote hain, lekin har insaan ki zindagi me dukh ka ek alag hi roop hota hai,Agar zindagi me dukh ho hi nahi tab aap kaisa feel karenge?Ye to ham nahi jaante.Lekin ham apni life se dukho ko remove kar sakte hain.Isme koi shak nahi hai,Hamari life me dukh aane ka sirf ek hi reason hai, aur wo hai, hamara dusro se ummide laga kar baith jaana,aur jab wo dusra insaan jis se ham ummid karte hain, hamari ummid k khilaaf karta hai tab hame zahni taur pe dukh hota hi hai,
To phir kyo Rakhte ho ummide.Kyo karte ho dusro par bharosa.Kyo jodte ho apne aap ko kisi dusre ke sath.Kyo dekhte ho aise khwaab jinko pura karna dusro ki madad ke bina mumkin hi nahi hai,Apni zindagi ke raasto ko khud banao aur aage badho.
Hamne apni life me jo bhi kuchh haasil kiya wo sirf Hamara apna hi hai.Hamne koi bhi Kadam agar badhaya hai to pahla Kadam rakhne ke liye jagah banayi hai, tab Kadam rakha hai.
Tab Hame kyo dukh hoga?Ham apne kapdo ko khud dhona pasand karte hain.....dusra agar dhota hai, to kabhi istri sahi nahi hoti thi kabi theek se dhul nahi paate the,Ab jaisa ham chahte hain waisa hi hota hai. Ab hamara dukh khatam ho chuka hai,Ham ek glass paani bhi kisi se maang kar nahi peete.Ham kabhi kisi se nahi kahte ki Hamko khana paros kar do.Hamare bhi to do hanth hain,Ham khud unka use karte hain...isi tarah se ham kisi life se jude hue person se kabi koi ummid nahi karte......aur naa hi zyada logo se milte hain....kyonki ham jaante hain. Wo log hamari baat ko samajh nahi payenge.JO BHI KARNA HAI AAP KHUD HI KIJIYE.KISI PAR YAQEEN MAT KIJIYE. KYONKI INSAAN KA SAB SE ACHCHA DOST WO KHUD HI HO SAKTA HAI,UMMIDE HAME KAMZOR BANATI HAIN,UMMIDE HAME KAAHIL AUR NIKAMMA BANATI HAIN,UMMIDE HI HAME ZINDAGI ME RONE KE LIYE MAJBOOR KARTI HAIN,UMMIDE HI HAMARI ZINDAGI SE SUKOON KO CHHEEN KAR BECHAINIYA BHAR DETI HAI,
zindagi me jo bhi karna hai, wo khud karo.Tum ek misaal ban jaaoge.Tumko jeene ka andaaz aa jaayga.Tumko her qadam per ek roshni milegi.Tumko kabhi koi dukh nahi hoga.Tumko phir sahare talaash karne ki zarurat kaha rahegi.Tumko har wo cheej paa kar sukoon hoga jo tum ne khud apni mehnat aur yaqin se hasil ki hai.Tumko log izzat ki nazro se dekhenge.Tumko iss dunya me koi khareed nahi paayega.Tumko khuda bhi har jaayaz cheez se navazega.ham aaj bhi jaante hain. aur kahte hain."HAM TO DARYA HAI AUR APNA HUNAR BHI HAI MAALUM JIS TARAF CHALENGE RAASTA HO JAAYGA."

Author:- MERAJ SIDDIQUI

Insan kyun Pareshan hai?

Insaan bimaar kyon hota hai? musibate kyon aati hain? Aaiye aapko batate hain, 

ham aksar apne charo taraf pareshaan, bimaar, or musibat me phanse huye logo ko dekhte hain,Aakhir kya hai in pareshaniyo ka reason?HAMESHA YAAD RAKHO KOI BHI MUSIBAT KISI BHI LIFE ME KHUDA KI TARAF SE KABHI NAHI AATI, NAA HI KHUDA KABHI KISI PAR ZULM KARTA HAI,Dar asal apni pareshaaniyo ki vajah insaan khud hi hota hai,Jo karm hamne aaj kiye hain, wo wapas hokar ek din hamare paas zarur aayenge, hamari ya aapki musibato ka reason, jo hamne kal kisi k sath kiya tha, wo palat kar hi hamari life me aata hai,Kab aur kaise insaan ghalti karta hai,Kisi ka dil agar dukh gaya hai, to saza bhayankar,Agar Apni maa, aur baap ke farzo ko ada nahi kiya unko sataya, to duniya ki koi taqat apko musibat se baahar nahi nikal sakti.Biwi ko pair ki jooti, aur kewal use ek cheez samajhne wale insaan ki life tabaah ho jaati hai, fir koi sant, koi mahatma, koi faqeer lakh chahne ke baad bhi hamari madad nahi kar paata.....

agar iss janam me saza kam mili to agla janam bhikhari aur be izzati ka milna pakka?Bahen, bhaai. Padosi. Sab ka haq har insaan ki life ka ik aisa part hai jo hamare kal ka nirmaan karta hai,aur ek kamzor ko satana aur dabaana,........iska badla itna bura hai jis ke baare me aap soch bhi nahi sakte.Agar aap pareshaan hain,,, to khud talaash karo....galti kaha hain,,,,jaha galti hai wahi solution bhi chhupa hua hai.

Author:- MERAJ SIDDIQUI

Zindagi me badlaav?

Zindagi me aksar cheezein badalti hai, log badalte hai, kismat badalti hai. 

Ye badlav koi nayi baat nahi hai. Ye hamesha se hota aaya hai aur hota rahega.

 Par kabhi kabhi hum chahte hi nahi hain yakeen karna ki jo ab hai, wo kabhi badlega, 

jante bhale hi ho dil mein, ya darte zaroor ho ki sab kuch badal sakta hai, khatm ho sakta hai. Kuch rishte, kuch sapne, kuch daur zindagi ka jaise rukh mod dete hai. 

Un mein koi badlav jaise manjoor hi nahi hota. Par zindagi aage badhne ka naam hai. Kal kitna bhi khubsurat kyu na ho, wo aakhir hai to KAL- 

jo beet chuka hai, jo dhal chuka hai, jo badal chuka hai. Kal ko thamne se wo laut nahi ayega, aansu bahane se kuchh badal nahi jayega, jo ab hai, wohi haqeeqat hai, is sach ko kaun jhutla payega....Jo beeta hai usse jane do. Us kal ke gham se aaj ki khushi na kam karo. Maana ye mushkil hai, par yahi sahi hai.....Jo beet gayi wo baat gayi.......

Author:- MERAJ SIDDIQUI

Zindagi kyun hai? Kis liye hai?

hamari zindagi ka maksad kya hai, kisliye hain ham yahan hain,kya kisi ne hame yahan bheja hai kuchh khaas maksad ke liye tamam sawalaat ke jawab dhoondenge?
yeh woh sawal hai jiska jawab talash karne, samajhne aur phir us par amal karne ke liye hame takreeban 60 saal diye jate hain :) , aur is sawal ka jawab "bayan" karne ke liye duniya ka tamaam ilm haasil karna pade to bhi kam pad jayega :)
zindagi ko dusre lafzon me kaha ja sakta hai "apna maqsad hasil karne ke liye STRUGGLE aur apne maqsad se rokne wale ke liye RESISTANCE show karna "
zindgi ki misal "pani" hai..maut ki misal "mitti" hai ...
mitti yaani murda cheez ka koi zaati maqsad nahi hai,
lekin zinda cheeje ise apne maqsad k liye istemal karti hain.
paani ka maqsad duniya ki har cheez ke kaam aana hai,
aur is maqsad ko poora karne ke liye paani safar karta rahta hai, mousam badalne ke liye samandar se hawa main, makhlooq ki zarurat k liye hawa se pahad par, pahad se maidan ki taraf aur maidan se samandari makhlooq k liye khuraak le kar samandar ki taraf, HAMESHA safar karta rahta hai, aur JO KOI IS KA RASTA ROKNE KI KOSHISH KARE US KE KHILAF RESISTANCE SHOW KARTA HAI AUR AKHIR KAAR KHUD APNA RAASTA NIKAL LETA HAI...
isi tarhan zindgi ki dusri misal "janwar" hain, tamam janwar bhi apne maksad k sath "zinda" hain aur apne raste me padne wali rukawat par "resist" karte nazar aate hain lekin "paani" me aur janwar me farq yeh hai k paani sirf "dusron" ki khatir safar karta hai jabki "janwar" sirf apne "zaati" makasad k liye zinda hain aur sirf "khane, peene aur bachaa paida karne ke liye" safar karta hain aur sirf us cheez k aage resist karte hain jo unhe "apna matlab poora karne se roke" , yahan tak k aik bakra dusre bakre ko isliye seeng marta hai ki woh us k pasandeedah paudhe ko kha raha hota hai.
lekin in sab cheezon ke alaawa kaaynaat me ek anokhi makhlooq bhi hai jise "insaan" kaha jata hai.. aur "haqiqi zindgi" sirf insanon ko ata ki gayi hai, aur is haqiqi zindagi ke raaz samjhanae ke liye is kaaynaat ki har cheez sajaayi gayi hai..
insaanon ki "haqiqi zindagi" ka talluk aqal se hai aur aqal ka talluk "ilm" se hai.. lihaaza haqiqat me, zinda insan woh hai jiska safar aur uski struggle "ilm" haasil karne ke liye hai..
insaan k liye sab se bada ilm yeh hai ki woh is baat ki tehqeeq me lage ki use aur uski kaaynaat ko paida kis ne kiya? is sawal ko hal karne ke liye struggle aur resistance "zindagi" ka saboot hai..
isi tarah apne paida karne waale ko pahchan kar uska ahsan mand aur shukar guzar ho kar uski ibadat karna "asal zindgi" hai.... aur usi khaliq ki paida ki hui "makhlooq" se mohabbat karna aur uski khidmat karna zindagi ka maksad hai, aur is makhlooq ko nuksan pohanchane walon se ladna, is zindagi ki "RESISTANCE" hai....
woh insaan jis ki zindgi ka maksad aur uski resistance sirf uske "zaati makasad" poora karna ho (khana, peena, bachhe paida karna), asal ma uski zindgi "janwaron" jaisi hai....
aur yahi is kaynaat ka imtehan hai ki "paani jaisi zinda cheez" se paida hone wali makhlooq me se kitne log "zinda" hone ka saboot dete hain, aur kitne log "janwar" ban jaate hain....... yeh insan ka "maksad" hai jo use insaan hote huwe bhi janwar bana sakta hai..

aur isi imtehan me kamyaab hone waale "zinda" logon k liye "jannat ka maqam" tayyar kiya gaya hai..

Author:- MERAJ SIDDIQUI

Zindagi Kya hai?

Aaiye sabse pahle jante hain ki

Yeh zindagi kya hai? 
Kya iski haqeeqat hai? 
Kya yeh doulat hai? Doulat hai to kya iski keemat hai? 
Kya yeh Mohabbat hai? Mohabbat hai to kya iski izzat hai? 
Kya yeh baghawat hai? Baghawat hai to kya iski shohrat hai? 
Kya yeh Nafrat hai? Nafrat hai to kya iski zaroorat hai? 
Kya yeh soughaat hai? Soughaat hai to kya iski lizzat hai? 
Kya yeh sharafat hai? Sharafat hai to kya iski banawat hai? 
Kya yeh chahat hai? Chahat hai to kya iski Shiddat hai? 
Kya yeh mehnat hai? Mehnat hai to kya iski sahoolat hai? 
Kya yeh Dosti hai? Dosti hai to kya iski milawat hai? 
Kya yeh rasta hai? Rasta hai to kya iski manzil hai? 
Kya zindagi dard hai? Dard hai to kya guzarna mushkil hai? 
Kya yeh khushi hai? Khushi hai to kyon palkon pe chilmil hai? 
Kya zindagi HUM hain? HUM hain to kya humari ibtida hai? 
Kya matti humari ibtida hai? Matti humari ibtida-o-inteha hai to.... 
to.... to... kya.... Kya humein yeh yaad hai.. 
Jo humein yeh yaad nahin, To kya hum abaad hoke bhi shaad hain.. 
Kya yeh ehsaas hai? Ehsaas hai to kya yeh khaas hai? 
Main bataon ZinDagi kya hai, 
Zindagi kuch nahin bas Ek saans hai.


Author:- MERAJ SIDDIQUI